Haneef Rahi

jine ka ban gaya hai imkan zindagi mein

Haneef Rahi

Shajapur, Madhya Pradesh, India

1973
jiine kā ban gayā hai imkān zindagī meñ
tum aa ga.e hamārī vīrān zindagī meñ
har rāsta hai ab to āsān zindagī meñ
shāmil huā hai jab se qur.ān zindagī meñ
marne ke ba.ad is kī mohlat nahīñ milegī
kar āḳhirat kā pyāre sāmān zindagī meñ
phir mil sakī na us ko jā-e-panāh koī
jis ne bhī kho diye haiñ ausān zindagī meñ
ye kah ke apne dil ko dete haiñ ham tasallī
puure hue haiñ kis ke armān zindagī meñ
kuchh aise log bhī haiñ duniyā meñ terī yā-rab
lete nahīñ kisī kā ehsān zindagī meñ
aadat sī ban ga.ī hai ab to hanīf-'rāhī'
jhele haiñ jaane kitne tūfān zindagī meñ
Top Urdushayar.com