yahī tazād to hairān karne vaalā hai
kahāñ charāġh rakhā hai kahāñ ujālā hai
maiñ zaḳhm zaḳhm huuñ is vāste nashe meñ huuñ
mujhe batāo haram hai ki ye shivāla hai
ra.īs-e-shahr kā ye ālī-shān bañgla bhī
kisī ġharīb se chhīnā huā nivāla hai
amiir logoñ se mahfūz rakh mire mālik
phir ik ġharīb kī beTī ne ḳhud nikālā hai
unhīñ ke sar pe na gir jā.ūñ āsmāñ ban kar
sitamgaroñ ne mirā naam to uchhālā hai
haiñ intizār meñ taare bhī chāñd bhī vo bhī
sunā hai raat meñ sūraj nikālne vaalā hai
havā kī raah meñ jaltā charāġh hai 'rāhī'
vo kyā bujhegā jise raushnī ne paalā hai