thak ke baiThā thā ki manzil nazar aa.ī mujh ko
hausla dene lagī ābla-pā.ī mujh ko
nazr kar dete haiñ vo apnī kamā.ī mujh ko
sar uThāne nahīñ dete mire bhaa.ī mujh ko
maiñ jahāñ jaatā huuñ is paikar-e-nūrī ke sivā
aur kuchh bhī nahīñ detā hai dikhā.ī mujh ko
is sitam-pesha ne qurbat kā na marham rakkhā
umr-bhar detā rahā zaḳhm-e-judā.ī mujh ko
mushkiloñ meñ bhī mire hausle shādāb rahe
rok saktī hī nahīñ vaqt kī khaa.ī mujh ko
maiñ to har saañs ko detā rahā jiine kā ḳhirāj
zindagī phir bhī kabhī raas na aa.ī mujh ko
us se barham maiñ nahīñ phir bhī magar merā harīf
umr-bhar detā rahā apnī safā.ī mujh ko
tere aane kī ḳhabar ne mujhe bechain rakhā
so gayā chāñd magar niiñd na aa.ī mujh ko
isī ummīd pe marmar ke jiye jaatā huuñ
vo mirī qaid se kab degā rihā.ī mujh ko
mujh se kuchh sunñe pe āmāda na thī ḳhalq-e-ḳhudā
umr-bhar us ne magar apnī sunā.ī mujh ko
ik na.e ġham se shanāsā kiyā mahrūmī ne
zindagī jab bhī tirī bazm meñ laa.ī mujh ko
vo bhī sharminda nazar aatā hai 'nūrī' akasr
nazar aatī hī nahīñ jis meñ burā.ī mujh ko