Mushtaq Ahmad Noori

riwayaton ka bahut ehtiram karte hain

Mushtaq Ahmad Noori

Purnia, Bihar, India

1950
rivāyatoñ kā bahut ehtirām karte haiñ
ki ham buzurgoñ ko jhuk kar salām karte haiñ
har ik shaḳhs ye kahtā hai aur kuchh kahiye
ham apnī baat kā jab iḳhtitām karte haiñ
kabhī jalāte nahīñ ham to barhamī kā charāġh
vo dushmanī kī ravish roz aam karte haiñ
harīf apnā agar sar jhukā ke miltā hai
to ham bhī teġh ko zeb-e-niyām karte haiñ
mujhe ḳhabar bhī nahīñ hai ki ek muddat se
vo mere ḳhāna-e-dil meñ qayām karte haiñ
haqīqatoñ ko jinheñ sun ke vajd aa jaate
kuchh aise kaam bhī un ke ġhulām karte haiñ
sharāb kam ho to 'nūrī' ba-nām-e-tishna bhī
lahū nichoḌ ke labrez jaam karte haiñ
Top Urdushayar.com