na sañg-e-rāh na sadd-e-quyūd kī sūrat
maiñ Dah rahā huuñ ab apne vajūd kī sūrat
jagah pe apnī jamā hai vo sañg kī mānind
bikhar rahā huuñ maiñ dīvār-e-dūd kī sūrat
jabīñ pe ḳhāk-e-taqaddus huuñ mujh ko pahchāno
chamak rahā huuñ maiñ naqsh-e-sujūd kī sūrat
mirī nazar meñ tayaqqun kī dhuup raushan ho
kabhī to phaile vo rañg-e-shuhūd kī sūrat
guzashta sadiyoñ kā bhī bojh mujh ko Dhonā thā
adā huā huuñ maiñ har lamha suud kī sūrat
laraz rahā huuñ maiñ apnī jasāratoñ par 'shām'
vo sahmā sahmā khaḌā hai jumūd kī sūrat