vo mere baare meñ aise bhī sochtā kab thā
agar maiñ aks nahīñ thī vo aa.ina kab thā
jo joḌ detā ta.alluq ke sab ravābit ko
hamāre biich koī aisā silsila kab thā
vo ziina ziina mire dil meñ yuuñ utartā gayā
maiñ rok paatī use mujh meñ hausla kab thā
vo ḳhush-gumān bahut thā ki maiñ huuñ us kī magar
ye aarzū thī faqat merā faisla kab thā
vo mere zabt ko har aan āzmātā rahā
maiñ sañg-zād huuñ us ko magar pata kab thā
sunā nahīñ jo kahā thā to kaise samjhāte
jo us ne samjhā thā merā vo mudda.ā kab thā
bahār ban ke vo milne to aa gayā thā mujhe
Thahar bhī jā.egā ye us kā faisla kab thā