raakh uḌtī huī bāloñ meñ nazar aatī hai
umr guzre hue sāloñ meñ nazar aatī hai
jab bhī kholā hai ye maazī kā darīcha maiñ ne
koī tasvīr ḳhayāloñ meñ nazar aatī hai
shaam ke saath jo jaadū ho nigāhoñ kā tirī
shaam vaisī mire gāloñ meñ nazar aatī hai
bastī dil meñ jahāñ roz thā hañgāma nayā
vo bhī ujḌe hue hāloñ meñ nazar aatī hai
kabhī tanhā.ī jo rātoñ ko satātī thī hameñ
ab vahī din ke ujāloñ meñ nazar aatī hai