kabhī tum bhīgne aanā mirī āñkhoñ ke mausam meñ
banānā mujh ko dīvāna mirī āñkhoñ ke mausam meñ
barastā bhīgtā ho jab koī lamha nigāhoñ meñ
vahīñ tum bhī Thahar jaanā mirī āñkhoñ ke mausam meñ
ka.ī mausam guzāre haiñ unhoñ ne dhuup chhāñv ke
nayā mausam koī laanā mirī āñkhoñ ke mausam meñ
sunahrī dhuup phailī ho kahīñ yādoñ ke jañgal meñ
to kirneñ ban ke muskānā mirī āñkhoñ ke mausam meñ
kabhī do-chār ho jaa.eñ mirī nazreñ jo tum se to
chhalak jā.egā paimāna mirī āñkhoñ ke mausam meñ
mirī āñkhoñ ke sab mausam haiñ tanhā.ī se ghabrā.e
na tanhā chhoḌ kar jaanā mirī āñkhoñ ke mausam meñ
haiñ yuuñ to fāsle kitne zamānoñ ke makānoñ ke
magar milte ho rozāna mirī āñkhoñ ke mausam meñ