dekhā palaT ke jab bhī to phailā ġhubār thā
kuchh āñsuoñ kī dhund thī ujḌā dayār thā
yādoñ ke aa.ine meñ haiñ ab bhī basī huī
āñkheñ ki jin meñ munjamid ik intizār thā
rishtoñ kī Dor haath se chhūTī thī is liye
dāman jo bad-gumāniyoñ se taar taar thā
kaisī thī mai jo aañkh se tū ne pilā.ī thī
merī ragoñ meñ aaj tak us kā ḳhumār thā
TuuTā koī sitārā thā yā ḳhvāb-e-ārzū
taa.ir qafas meñ raat bahut be-qarār thā
dhundlā diye the jis ne sabhī ā.īne yahāñ
mere hī ghar se uTThā vo gard-o-ġhubār thā