Farah iqbal

dard ka samundar hai sirf par hone tak

Farah iqbal

Lahore, Punjab, Pakistan

dard kā samundar hai sirf paar hone tak
ishq kī haqīqat ke āshkār hone tak
roz-o-shab kī gardish meñ mahv-e-raqs rahte haiñ
ḳhaak ke bagūle haiñ bas ġhubār hone tak
ḳhvāhishoñ kī ḳhushbū meñ ḳhvāb ḳhvāb phirte the
pālkī meñ tāroñ kī ham savār hone tak
qurbatoñ ke jañgal meñ der kitnī lagtī hai
pairahan mohabbat kā taar taar hone tak
soch kī havelī meñ ik sukūt taarī thā
muntazir nigāhoñ ke be-qarār hone tak
ātish-e-ġham-e-dil meñ ḳhaak ho ga.e ham to
rishta-e-mohabbat ke ustuvār hone tak
zindagī ke lahje ko ek umr lagtī hai
dhuup kī tamāzat se sāya-dār hone tak
ajnabī musāfir the ham-safar rahe phir bhī
ik gurez haa.il thā e'tibār hone tak
pāniyoñ ke siine par aaj bhī safīne haiñ
sar-phirī havāoñ ke sāzgār hone tak
kitnī maujeñ Dūbeñ-gī sāhiloñ ke dāman meñ
qurbatoñ kī koshish meñ rāz-dār hone tak
thā kamāl-e-kūza-gar Dhāltā rahā mujh ko
haañ 'farah' lage barsoñ shāh-kār hone tak
Top Urdushayar.com