kahīñ yaqīñ se na ho jaa.eñ ham gumāñ kī tarah
sambhāl kar hameñ rakhiye matā-e-jāñ kī tarah
jise sadaf kī tarah aañkh meñ chhupāyā thā
vo kho na jaa.e kahīñ ashk-e-rā.egāñ kī tarah
hameñ bhī ḳhauf-e-talātum ne gher rakhā thā
khulā nahīñ thā abhī vo bhī bādbāñ kī tarah
nisāb-e-ishq meñ saare savāl mushkil the
mohabbateñ bhī thiiñ darpesh imtihāñ kī tarah
khule jo lab to unhī ā.inoñ meñ hairat thī
jo dekhte the hameñ aks-e-be-zabāñ kī tarah
jahāñ milī thiiñ kabhī ḳhushbueñ havāoñ se
mahak rahā thā vo jañgal bhī gulistāñ kī tarah
hunar-varī hai hamārī ki apne ḳhvāboñ se
qafas bhī ham ne sajāyā thā āshiyāñ kī tarah