muddatoñ ham se mulāqāt nahīñ karte haiñ
ab to saa.e bhī koī baat nahīñ karte haiñ
dasht-e-hairāñ kā pata aaj bhī ma.alūm nahīñ
ab to rāhoñ meñ bhī ham raat nahīñ karte haiñ
mābadoñ meñ jo jalāte the diye mere liye
ab sar-e-shām munājāt nahīñ karte haiñ
baañT dete haiñ sabhī ḳhvāb suhāne apne
dāman-e-dard se ḳhairāt nahīñ karte haiñ
rok lete the jo jañgal meñ vo aaseb bhī ab
chup hī rahte haiñ savālāt nahīñ karte haiñ
vo jo barse the ināyāt ke bādal ham par
vo bhī ab pahlī sī barsāt nahīñ karte haiñ
kitne barham the 'farah' TuuT ke jab bikhre the
āj-kal ham bhī shikāyāt nahīñ karte haiñ