saare manzar dilkash the har baat suhānī lagtī thī
jīvan kī har shaam hameñ tab ek kahānī lagtī thī
jis kā chāñd sā chehrā thā aur zulf sunahrī bādal sī
mast havā kā āñchal thāme ek divānī lagtī thī
apne ḳhvāb na.e lagte the aur phir un ke aage sab
duniyā aur zamāne kī har baat purānī lagtī thī
pyaar ke mausam kī ḳhushbū se ġhuncha ġhuncha mahkā thā
mahkī mahkī duniyā saarī raat kī raanī lagtī thī
lamhoñ ke rañgīn ġhubāre haath se chhūTe jaate the
mausam dukh kā dard kī rut sab ānī-jānī lagtī thī
qaus-e-quzah kī bārish meñ ye jazboñ kī muñh zor havā
mauj uḌāte bal khāte dariyā kī ravānī lagtī thī
ab dekheñ to duur kahīñ par yādoñ kī phulvārī meñ
rañgoñ se bharpūr fazā thī jo lāfānī lagtī thī