us ke aane pe bhī nahīñ aa.ī
dard meñ kuchh kamī nahīñ aa.ī
umr bhar dostoñ ne mehnat kī
par hameñ dostī nahīñ aa.ī
apne hī ghar pe aa nikalte haiñ
ham ko āvārgī nahīñ aa.ī
dostoñ ke kisī latīfe par
aaj ham ko hañsī nahīñ aa.ī
ham ko bhī shauq zindagī kā thā
kyā kahīñ raas hī nahīñ aa.ī
ab ke aa.ī bhī aur ga.ī bhī bahār
fasl-e-dīvāngī nahīñ aa.ī
zindagī ban ga.ī adū sī 'shujā.a'
aur hameñ maut bhī nahīñ aa.ī