jaise ḳhushiyoñ meñ ġham nahīñ hote
aag paanī baham nahīñ hote
muddatoñ ham qarīb rahte haiñ
fāsle phir bhī kam nahīñ hote
zindagī bhar ke saath meñ aksar
ham-safar ham-qadam nahīñ hote
sānehe dil pe jo guzarte haiñ
sab ke sab to raqam nahīñ hote
puujā hotī hai zindagī bhar kī
chaar din ke sanam nahīñ hote
jo kabhī mujh pe dostoñ ke the
ab vo lutf-o-karam nahīñ hote