Farah iqbal

kaise manzar hain jo idrak mein aa jate hain

Farah iqbal

Lahore, Punjab, Pakistan

kaise manzar haiñ jo idrāk meñ aa jaate haiñ
jaise motī kisī poshāk meñ aa jaate haiñ
maiñ jhaTaktī huuñ sabhī zehn se ye vahm-o-gumāñ
phir bhī aksar ye mirī taak meñ aa jaate haiñ
jaisā bhejā hai mujhe aap ne paiġhām-e-vafā
aise naame to ka.ī Daak meñ aa jaate haiñ
apnī hastī pe gumāñ itnā na kiije sāhab
paikar-e-ḳhāk to phir ḳhaak meñ aa jaate haiñ
jin ko āñkhoñ meñ basāne kī ijāzat bhī nahīñ
vo tasavvur dil-e-bebāk meñ aa jaate haiñ
nahīñ hote haiñ jo chehre se ayaañ rañj-o-alam
vo sabhī sīna-e-sad-chāk meñ aa jaate haiñ
Top Urdushayar.com