Farah iqbal

mere ham-raqs sae ko bil-aKHir yunhi Dhalna tha

Farah iqbal

Lahore, Punjab, Pakistan

mire ham-raqs saa.e ko bil-āḳhir yūñhī Dhalnā thā
koī mausam nahīñ ruktā so mausam ko badalnā thā
taqāzā maslahat kā thā havā se dostī kar leñ
charāġhoñ ko ujāle tak yūñhī har taur jalnā thā
use to ye ijāzat thī vo jab chāhe palaT jaa.e
safar merā to baaqī thā mujhe to yūñhī chalnā thā
talātum meñ bahā kar jo mirī hastī ko le jaatī
usī mauj-e-tamannā se mujhe pahle sambhalnā thā
hameñ bhī sabz rañgat kā vo pairāhan atā hotā
hamārī āstīnoñ meñ agar sāñpoñ ko palnā thā
hamesha apne kaase meñ duāoñ kī talab rakkhī
duāoñ ke vasīle se burā har vaqt Talnā thā
batāyā thā ki ye jauhar bahut nāyāb hai jānāñ
use kho kar tumheñ yūñhī faqat hāthoñ ko malnā thā
shab-e-ġham kī tavālat se na ghabrānā 'farah' āḳhir
ye sūraj Dhal bhī jaa.e to ise phir se nikalnā thā
Top Urdushayar.com