Farah iqbal

zamana jhuk gaya hota agar lahja badal lete

Farah iqbal

Lahore, Punjab, Pakistan

zamāna jhuk gayā hotā agar lahja badal lete
magar manzil nahīñ miltī agar rasta badal lete
bahut taaza havā aatī bahut se phuul khil jaate
makān-e-dil kā tum apne agar naqsha badal lete
ḳhatā tum se huī āḳhir tumhārā kyā bigaḌ jaatā
ye baazī bhī tumhārī thī agar mohara badal lete
abhī to aa.ine se hai musalsal dostī apnī
shanāsā.ī kahāñ rahtī agar chehra badal lete
mire harfoñ ke ye motī mire hāthoñ bikhar jaate
ġhubār be-yaqīnī meñ agar rasta badal lete
falak ke is kināre kā vo lamha ham ko mil jaatā
milā thā ek hī lamha agar lamha badal lete
bahut be-rañg chehroñ par bahut se rañg aa jaate
kisī achchhe fasāne se agar qissa badal lete
isī ḳhvāhish ke dāman meñ vahī sikke khanak uThte
sadā tabdīl kar lete agar kaasa badal lete
Top Urdushayar.com