zindagī chupke se ik baat kahā kartī hai
vaqt ke hāthoñ meñ kab Dor rahā kartī hai
sard sī shāmoñ meñ chaltī hai udāsī kī havā
chāñdnī raat bhī ḳhāmosh rahā kartī hai
tum to aa.e ho gulāboñ ke liye der ke ba.ad
qarya-e-jāñ meñ to ab ḳhaak uḌā kartī hai
be-sabab āñkhoñ meñ aañsū bhī nahīñ aate ab
vahshat-e-dil bhī kahīñ duur rahā kartī hai
raushnī meñ to nazar aate haiñ kitne saa.e
par ye tārīkī to saaya bhī judā kartī hai
ham bhī kho jā.eñge ik roz ufuq par yūñhī
kab kisī se ye 'farah' ziist vafā kartī hai