Farah iqbal

ek muddat se yahan Thahra hua pani hai

Farah iqbal

Lahore, Punjab, Pakistan

ek muddat se yahāñ Thahrā huā paanī hai
dasht-e-tanhā.ī hai aur aañkh meñ vīrānī hai
dekho ḳhāmosh sī jhīloñ ke kināre ab bhī
sog meñ lipTe daraḳhtoñ kī farāvānī hai
aa.ina dekhne kī taab kahāñ thī mujh meñ
saaf likkhī thī jo chehre pe pashemānī hai
dasht-e-vahshat meñ charāġhoñ ko jalā.ūñ kaise
in charāġhoñ se havāoñ ko pareshānī hai
sāya-e-abr-e-tavajjoh kī ḳhabar kyā hotī
zindagī maiñ ne to sahrāoñ se pahchānī hai
apne maazī ko mujhe dafn bhī ḳhud karnā hai
ye qayāmat bhī dil-o-jāñ pe abhī Dhānī hai
ab ke chamkā hai sitārā jo 'farah' baḳht kā hai
tire atrāf usī kī hai jo tābānī hai
Top Urdushayar.com