is tarah pahuñchegā kaise pāya-e-takmīl ko
āḳhirī kahtā hai kyuuñ tābūt kī har kiil ko
ḳhud zarūrat-mand hai rotā hai ḳhud tarsīl ko
chāhiye paiġhāmbar apne liye jibrīl ko
kab se sotā hai karo bedār mikhail ko
varna kaafī kaam mil jā.egā izrā.īl ko
tū ne go koī kasar chhoḌī nahīñ rabb-e-karīm
kaam ye karnā paḌegā phir bhī isrāfīl ko
shahr ke qānūn din meñ toḌnā āsāñ na thā
raat meñ niklī hai duniyā ilm kī tahsīl ko