ye jo har shai meñ tirī jalvagarī hai ai dost
ye bhī merī vasī-un-nazarī hai ai dost
ḳhanda-e-gul hai jo zaḳhm-e-jigarī hai ai dost
mauj-e-ġham mauj-e-nasīm-saharī hai ai dost
terī firdaus-ḳhayālī ho mubārak tujh ko
merī jannat mire dāman kī tarī hai ai dost
kyā samā.e ġham-e-insāñ nigah-e-insāñ meñ
arsh-paimā.ī bhī fahm-basharī hai ai dost
mujh ko aatā hai musībat meñ ġhazal-ḳhvāñ honā
merī me.arāj mirī be-hunarī hai ai dost
jis ko kahte haiñ tirī yaad meñ gum ho jaanā
vo bhī ik silsila-e-bā-ḳhabrī hai ai dost
toḌ kar mujh ko zarā ā.īna-e-qalb hazār
kitnā majbūr fan-e-shīsha-garī hai ai dost