āshiqī jur.at-e-iz.hār tak aa.e to sahī
vo zarā ḳhauf-e-jahāñ dil se miTā.e to sahī
kaise uThte haiñ qadam dekhiye manzil kī taraf
dil ke irshād pe sar koī jhukā.e to sahī
us ke qadmoñ meñ rifāqat ke ḳhazāne hoñge
merī jānib vo qadam apne baḌhā.e to sahī
jazba-e-josh-e-mohabbat tujhe sau baar salām
merī aahaT pe vo dahlīz tak aa.e to sahī
har ġhazal merī qasīda hī sahī terā magar
tujh ko ash.ār meñ yuuñ koī sajā.e to sahī
dāstāñ hoñge ḳhud us ujḌe hue shahar ke ġham
is añdhere meñ koī sham.a jalā.e to sahī
ḳhud-baḳhud rāsta degā ye zamāna 'tālib'
dostī ke liye vo haath baḌhā.e to sahī