narġhe meñ ghaTāoñ ke rahā hai na rahegā
ḳhurshed mohabbat kā chhupā hai na chhupegā
ho jaate haiñ nākām ḳhirad-mandoñ ke fitne
sar-e-ahl-e-junūñ kā na jhukā hai na jhukegā
tum kyuuñ ho pareshān ki taqdīr kā likkhā
duniyā ke miTāne se miTā hai na miTegā
tarkash se takabbur ke jo itrā ke chalā hai
vo tiir nishāne pe lagā hai na lagegā
tālīm-o-hunar hī vo ḳhazāna hai jo ab tak
daulat ke luTeroñ se luTā hai na luTegā
ho jaatā hai fauran jo pashemān ḳhatā par
nazroñ se azīzoñ kī girā hai na giregā
mansab jahāñ zālim ke asar meñ ho vahāñ par
mazlūm ko insāf milā hai na milegā
hājat se ziyāda kī talab sab ko hai 'tālib'
qismat se sivā phir bhī milā hai na milegā