dast-o-pā meñ mire halqe jo ye zanjīr ke haiñ
dar-haqīqat ye karishme mirī taqdīr ke haiñ
qābil-e-dād nahīñ kyā vo musavvir logo
shahr-dar-shahr jo charche kisī tasvīr ke haiñ
tishna-lab jo lab-e-dariyā pe bhī haiñ rahte hue
vo satā.e hue bigḌī huī taqdīr ke haiñ
hausla fat.h kā zāmin huā kartā hai magar
mere dushman haiñ ki qaa.il mirī shamshīr ke haiñ
ġhair dānista nahīñ haiñ mire afsāne meñ
vo ka.ī lafz jo tishna mirī tafsīr ke haiñ
ḳhush agar apnī ḳhatāoñ pe ho tum to ham bhī
mānñe vaale abhī ishq kī tāsīr ke haiñ
us ne sauñpī thī jo beToñ ko virāsat meñ kabhī
aaj afsūñ ki TukḌe usī jāgīr ke hai
ye sitāre nahīñ 'tālib' ki ye TuuTe hue ḳhvāb
kisī lailā kisī shīrīñ ke kisī hiir ke haiñ