ik pur-kashish kahānī ke kirdār kī tarah
har shaḳhs jī rahā hai adākār kī tarah
maiñ chal rahā huuñ bā-dil-e-nā-ḳhvāsta magar
hālāt kī giraft meñ patvār kī tarah
jo phuul se bhī halkā ta.alluq thā in dinoñ
lagne lagā hai koh girāñ-bār kī tarah
ye maslahat nahīñ hai to phir un ke sāmne
ḳhāmosh kyuuñ khaḌe ho gunahgār kī tarah
'tālib' ḳhushāmadoñ kā ye cholā utaar kar
haq maañg kar to dekhiye haqdār kī tarah