Ayaz Ahmad Talib

kahin par zindagi ka nam-e-nami mauj-masti hai

Ayaz Ahmad Talib

Muzaffarnagar, Uttar pradesh, India

1964
kahīñ par zindagī kā nām-e-nāmī mauj-mastī hai
kahīñ par ādamiyat zinda rahne ko tarastī hai
jahān-e-zindagī kī qudratī tasvīr haiñ donoñ
kahīñ sūkhā paḌā hai aur kahīñ bārish barastī hai
tirī daulat tujhe kyā faiz pahuñchā.egī tere ba.ad
mayassar zindagī jitnī bhī qīmat par ho sastī hai
kisī qābil meñ hotā to kabhī kā qatl ho jaatā
ki har ahl-e-salāhiyyat kī dushman merī bastī hai
mohabbat hī kiyā kartī hai āmāda baġhāvat par
mohabbat hī vafādārī kī zanjīroñ meñ kastī hai
kamā lenā magar hargiz na karnā pyaar daulat se
ye nāgin apne shaidā ko nihatthā kar ke Dastī hai
kabhī 'tālib' yahāñ insāniyat kī qadr hotī thī
magar ab jis taraf bhī dekhtā huuñ zar-parastī hai
Top Urdushayar.com