Ayaz Ahmad Talib

hadis-e-dil bayan karne mein kitni der lagti hai

Ayaz Ahmad Talib

Muzaffarnagar, Uttar pradesh, India

1964
hadīs-e-dil bayāñ karne meñ kitnī der lagtī hai
kisī ko rāzdāñ karne meñ kitnī der lagtī hai
koī hai jis ke dil meñ aaj tak ham ghar na kar paa.e
kisī ko mehrbāñ karne meñ kitnī der lagtī hai
vo jādūgar kī sūrat jhuuT ko sach kar dikhāte haiñ
kisī ko bad-gumāñ karne meñ kitnī der lagtī hai
koī to kashmakash hai dil meñ shāyad hashr hai barpā
dulhan ko varna haañ karne meñ kitnī der lagtī hai
kisī beva ke dil se ye haqīqat pūchhiye jā kar
ki bachchoñ ko javāñ karne meñ kitnī der lagtī hai
bulandī khā ga.ī merī javānī tum ye kahte ho
zamīñ ko āsmāñ karne meñ kitnī der lagtī
agar ye dil sitamgar ko sitamgar maan le 'tālib'
to dil ko ham-zabāñ karne meñ kitnī der lagtī hai
Top Urdushayar.com