tabhī aa.egī laboñ par mire dil kī baat khul ke
mirī zaat se mile jab tirī kā.enāt khul ke
mirā ishq hai bas itnā ki jagā.eñ koī fitna
tire hoñT band ho ke mirī ḳhvāhishāt khul ke
mujhe bāñdh kar jinhoñ ne sar-e-tāq rakh diyā hai
kabhī ḳhud bayāñ karūñgā maiñ vo sab nikāt khul ke
ye jo aaj basta basta sā adū ke raḳht meñ hai
yahī gul-badan milā thā kabhī puurī raat khul ke
baḌī be-maza guzārī hai zamāna-sāziyoñ ne
na adāvateñ nibhā.īñ na ta.alluqāt khul ke