ek pal ke liye the vo aa.e nazar
umr bhar dil pukārā ki haa.e nazar
phuul ban kar hamesha hī khiltī rahe
chāñd ban kar kabhī jagmagā.e nazar
vaqt-e-ruḳhsat tirī chashm-e-nam kyā kahūñ
kaash manzar mirī bhuul jaa.e nazar
jaane dil meñ ye kis kā ḳhayāl aa gayā
aap hī aap ye muskurā.e nazar
ik misālī ġhazal hai likhī aap par
ḳhvāb lamhoñ se raushan barā.e nazar
ek muddat se hasrat yahī hai mirī
mujh ko dekhe to phir vo milā.e nazar
us ke tīr-e-nazar kī baḌī dhuum hai
aa.e dil pe mire āzmā.e nazar
us nazar kī nazar maiñ utārūñgī phir
ik nazar jo tujhe dekh paa.e nazar
'hādia' ruuh meñ merī bastā hai vo
kaise mumkin hai ab vo churā.e nazar