Isma Hadia

KHwab zaKHmon ki tarah mir ki ghazlon jaisa

Isma Hadia

Attock, Punjab, Pakistan

1992
ḳhvāb zaḳhmoñ kī tarah miir kī ġhazloñ jaisā
mujh ko ik shaḳhs milā hai mirī sochoñ jaisā
jis kī bātoñ meñ ho ambar kī araq-afshānī
jis kā andāz hamesha ho gulāboñ jaisā
yuuñ lagā jaise use jāntī huuñ sadiyoñ se
maiñ ne ik shaḳhs ko paayā mire ḳhvāboñ jaisā
baat kartā thā magar baat badal jaatā thā
us kā lahja thā ka.ī uljhe savāloñ jaisā
sub.h kī kirnoñ ke jaisī hai mohabbat us kī
us kā andāz-e-mohabbat hai ujāloñ jaisā
jaane vaale ko ḳhabar kyā ki bichhaḌ kar us se
lamha sadiyoñ meñ guzartā hai azāboñ jaisā
zindagī apnī jo kahtā thā hamesha mujh ko
ab mirā zikr vo kartā hai havāloñ jaisā
Top Urdushayar.com