Isma Hadia

jazbon mein pahle jaisi sadaqat nahin rahi

Isma Hadia

Attock, Punjab, Pakistan

1992
jazboñ meñ pahle jaisī sadāqat nahīñ rahī
ab darmiyāñ hamāre mohabbat nahīñ rahī
bhūlī huī huuñ kab se maiñ ḳhud ko batā.ūñ kyā
ab tujh ko yaad karne kī aadat nahīñ rahī
kaisā samāñ hai kaisī ye fasl-e-bahār hai
shahr-e-vafā ke phūloñ meñ nik.hat nahīñ rahī
vo bujh ga.ī sitāra-adā aañkh kab kī dost
dil meñ kisī ke pyaar kī hasrat nahīñ rahī
terī vafā ne aisā sabaq de diyā mujhe
mujh ko kisī bhī zaat se nafrat nahīñ rahī
ai 'hādia' shu.ūr-e-mohabbat jise diyā
ab vo hī kah rahā hai ki ulfat nahīñ rahī
Top Urdushayar.com