āñkheñ haiñ ashk dil hai dhuāñ ghar udaas hai
tujh bin ai ghar kī rūh-e-ravāñ ghar udaas hai
gul-hā-e-nau-bahār haiñ āñgan meñ zard zard
peḌoñ pe khil rahī hai ḳhizāñ ghar udaas hai
birhā baras rahī hai fasurda muñDer se
chiḌiyāñ haiñ chhat pe nauha-kunāñ ghar udaas hai
dil ko jhiñjhoḌte hue saare aziiz lafz
tahrīr haiñ havā meñ jahāñ ghar udaas hai
jo dasht-e-zīst meñ mileñ bichhḌe hue kabhī
kahnā ki tum yahāñ ho vahāñ ghar udaas hai