Isma Hadia

yun dard ki shiddat se pukari meri aankhen

Isma Hadia

Attock, Punjab, Pakistan

1992
yuuñ dard kī shiddat se pukārī mirī āñkheñ
ḳhvāboñ ke bikhar jaane se haarī mirī āñkheñ
palkoñ pe ġham-e-hijr ke sab diip jalā.e
nīñdoñ ke shabistān meñ bhārī mirī āñkheñ
tanhā.ī meñ ik ḳhvāb kī lau phuuT rahī hai
bujh saktī nahīñ rañj kī maarī mirī āñkheñ
tum jab se mire aañkh ke hujre meñ makīñ ho
pur-nūr huī aur bhī pyārī mirī āñkheñ
ye kis kī ziyārat se chhalaktā hai ujālā
is surma-e-manzar ne nikhārī mirī āñkheñ
sapnoñ ke hasīñ taḳht pe haiñ roz-e-azal se
baiThī haiñ banī rāj-kumārī mirī āñkheñ
ye rasm shab-e-ġham se hī ījād huī hai
ashkoñ ke sitāroñ se sañvārī mirī āñkheñ
Top Urdushayar.com