kis zindagī ke moḌ pe laayā gayā mujhe
maiñ hañs rahī thī aur rulāyā gayā mujhe
pahle to tīra-baḳht musalsal kahā gayā
phir taḳht-e-zau-fishāñ pe biThāyā gayā mujhe
pahle to intiḳhāb huā nām-e-husn par
phir ism-e-ishq le ke banāyā gayā mujhe
mujh se mire ḳhayāl kī tanhā.ī chhin ga.ī
mahfil meñ kis sadā se bulāyā gayā mujhe
aġhyār se vo kartā rahā muskurā ke baat
is aag kī hadoñ meñ jalāyā gayā mujhe
rahbar ne is tarah se diyā hai mujhe fareb
manzil se haT ke rasta dikhāyā gayā mujhe
pahle mirī vafā ko mo.attar kiyā gayā
phir gulshan-e-hayā se sajāyā gayā mujhe
ik shaḳhs aa gayā hai na.ī raushnī ke saath
ye bhī ḳhat-e-nafas se batāyā gayā mujhe
vo kaun āsmān-e-tasavvur hai 'hādia'
merī zamīñ se jis meñ basāyā gayā mujhe