Isma Hadia

dete hain dua dard ke mare use kahna

Isma Hadia

Attock, Punjab, Pakistan

1992
dete haiñ duā dard ke maare use kahnā
palkoñ se zarā bojh utāre use kahnā
ab koī bhī rut bhātī nahīñ dīda-e-dil ko
lagte haiñ sabhī zahr nazāre use kahnā
hotī hī nahīñ ham se mohabbat kī tijārat
is daur meñ haiñ sirf ḳhasāre use kahnā
mumkin hai mire lauT ke aane kā tasavvur
ik baar mujhe dil se pukāre use kahnā
maiñ rañg sajāvaT ke sabhī bhuul chukī huuñ
ab aa ke mirā ruup nikhāre use kahnā
insān bhī ab sāñpoñ kī fitrat meñ Dhale haiñ
har shaḳhs ajab ruup hai dhāre use kahnā
bikhre hue apne hī ḳhad-o-ḳhāl meñ gum huuñ
ā.īne meñ phir aks sañvāre use kahnā
kahnā ki mirī maañg meñ sūraj to nahīñ hai
pahlū meñ sajā de sabhī taare use kahnā
Top Urdushayar.com