Isma Hadia

kisi bachpan mein banai hui kashti jaisa

Isma Hadia

Attock, Punjab, Pakistan

1992
kisī bachpan meñ banā.ī huī kashtī jaisā
saath terā thā magar dhuup kī narmī jaisā
maiñ musāfir thī ki manzil hī nahīñ thī jis kī
tū mire saath kisī rail kī paTrī jaisā
phuul shāḳhoñ pe koī khil hī nahīñ paayā thā
mausam-e-vasl kisī hijr kī saḳhtī jaisā
saḳhtiyāñ boltī rahtī thiiñ tire lahje meñ
aur mirā dil ye kisī kāñch kī chūḌī jaisā
ham tire va.ade kī zanjīr liye baiThe rahe
jāgtī aañkh meñ ik ḳhvāb thā lorī jaisā
dard in āñkhoñ se dariyā kī tarah niklā hai
'hādia' ham to samajhte the sarābī jaisā
Top Urdushayar.com