Isma Hadia

kuchh aur lag rahi hai ye tumhein KHaton ki baat

Isma Hadia

Attock, Punjab, Pakistan

1992
kuchh aur lag rahī hai ye tumheñ ḳhatoñ kī baat
agarche jhuuT nahīñ thī mohabbatoñ kī baat
mohabbatoñ meñ zarūrat ke rañg shāmil the
khulā ye raaz ki hai saarī hausloñ kī baat
na jaane kaun sā ehsās us ko bhāyā hai
hujūm-e-shahr meñ laayā hai bekasoñ kī baat
mahak rahe haiñ dar-o-bām terī ḳhushbū se
ki ashk āñkhoñ meñ haiñ aur rāhatoñ kī baat
mujhe batā.e ga.e saare chāhatoñ ke alam
jalā jalā ke sunā.eñge rāstoñ kī baat
mire ḳhayāl meñ pinhāñ kisī kī socheñ haiñ
khulā ye raaz ki hai saarī ā.inoñ kī baat
ye dil ajiib musāfir DaTā huā hai abhī
thake thake se qadam aur manziloñ kī baat
Top Urdushayar.com