dil kā mausam zard ho to kuchh bhalā lagtā nahīñ
koī manzar koī chehra ḳhushnumā lagtā nahīñ
dhuñdle dhuñdle ajnabī se log aate haiñ nazar
muddatoñ kā āshnā bhī āshnā lagtā nahīñ
saḳht mushkil ho gayā hai imtiyāz-e-ḳhūb-o-zisht
phuul sī poshāk meñ bad-ḳhū burā lagtā nahīñ
luuT kar aate nahīñ kyuuñ āshiyānoñ kī taraf
bhole-bhāle panchhiyoñ kā kuchh patā lagtā nahīñ
yāsiyat jab phail jaa.e matl.a-e-afkār par
rāsta koī bhī apnā rāsta lagtā nahīñ
iltijā kī Tahniyāñ hotī nahīñ haiñ kyuuñ harī
kyuuñ samar merī duā meñ ai ḳhudā lagtā nahīñ