yahāñ vahāñ kī bulandī meñ shaan thoḌī hai
pahāḌ kuchh bhī sahī āsmān thoḌī hai
mire vajūd se kam terī jaan thoḌī hai
fasād tere mire darmiyān thoḌī hai
mile binā koī rut ham se jā nahīñ saktī
hamāre sar pe koī sā.ebān thoḌī hai
ye vāqi.a hai ki dushman se mil ga.e haiñ dost
mirā bayān barā.e bayān thoḌī hai
karam hai mujh pe kisī aur ke jalāne ko
vo shaḳhs mujh pe koī mehrbān thoḌī hai
vo ham-ḳhayāl hai uslūb us kā jo bhī ho
raqīb hī to hai chañgez ḳhaan thoḌī hai
'shuja.a' shā.irī hotī hai zaat ke bal par
mirī kumak pe koī ḳhāndān thoḌī hai