Bhavesh Dilshad

kahan pahunchega wo kahna zara mushkil sa lagta hai

Bhavesh Dilshad

Shivpuri, Madhya Pradesh, India

1981
kahāñ pahuñchegā vo kahnā zarā mushkil sā lagtā hai
magar us kā safar dekho to ḳhud manzil sā lagtā hai
nahīñ sun pāoge tum bhī ḳhamoshī shor meñ us kī
use tanhā.ī meñ sunñā bharī mahfil sā lagtā hai
bujhā bhī hai vo bikhrā bhī ka.ī TukḌoñ meñ tanhā bhī
vo sūrat se kisī āshiq ke TuuTe dil sā lagtā hai
vo sapnā sā hai saaya sā vo mujh meñ moh-māyā sā
vo ik din chhūT jaanā hai abhī hāsil sā lagtā hai
ye lagtā hai us ik pal meñ ki maiñ aur tū nahīñ haiñ do
vo pal jis meñ mujhe maazī hī mustaqbil sā lagtā hai
Top Urdushayar.com