Muntazir lakhnavi

ummid hai ki mujhko KHuda aadmi kare

Muntazir lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1769-1802
ummīd hai ki mujh ko ḳhudā aadmī kare
par aadmī kare to bhalā aadmī kare
is tarah vo fareb se dil le ga.e mirā
jis tarah aadmī se daġhā aadmī kare
bhātīñ nahīñ kuchh us ke nikaltī hai apnī jaan
kyā aise bevafā se vafā aadmī kare
maarā hai kohkan ne sar apne pe tesha aah
dil ko lagī ho choT to kyā aadmī kare
gar kuchh kahā bigaḌ ke maiñ bas us ne hañs diyā
kyā aise aadmī kā gilā aadmī kare
guzrā maiñ aisī chaah se tā-chand ham-nashīñ
baiThā kisī ke sar ko lagā aadmī kare
hai ishq bad-maraz koī jaatā hai 'muntazir'
kyā ḳhaak is maraz kī davā aadmī kare
Top Urdushayar.com