kabhī to sāmne aa be-libās ho kar bhī
abhī to duur bahut hai tū paas ho kar bhī
tere gale lagūñ kab tak yuuñ ehtiyātan maiñ
lipaT jā mujh se kabhī bad-havās ho kar bhī
tū ek pyaas hai dariyā ke bhes meñ jaanā
magar maiñ ek samundar huuñ pyaas ho kar bhī
tamām ahl-e-nazar sirf DhūñDhte hī rahe
mujhe dikhā.ī diyā sūrdās ho kar bhī
mujhe hī chhū ke uThā.ī thī aag ne ye qasam
ki nā-umīd na hogī udaas ho kar bhī