Bhavesh Dilshad

na qarib aa na to dur ja ye jo fasla hai ye Thik hai

Bhavesh Dilshad

Shivpuri, Madhya Pradesh, India

1981
na qarīb aa na to duur jā ye jo fāsla hai ye Thiik hai
na guzar hadoñ se na had batā yahī dā.era hai ye Thiik hai
na to āshnā na hī ajnabī na koī badan hai na ruuh hī
yahī zindagī kā hai falsafa ye jo falsafa hai ye Thiik hai
ye zarūratoñ kā hī rishta hai ye zarūrī rishta to hai nahīñ
ye zarūrateñ hī zarūrī haiñ ye jo vāsta hai ye Thiik hai
merī mushkiloñ se tujhe hai kyā terī uljhanoñ se mujhe hai kyā
ye takallufāt se milne kā jo bhī silsila hai ye Thiik hai
ham alag alag hue haiñ magar abhī kañpkañpātī hai ye nazar
abhī apne biich hai kaafī kuchh jo bhī rah gayā hai ye Thiik hai
mirī fitratoñ meñ hī kufr hai mirī ādatoñ meñ hī uzr hai
binā soche maiñ kahūñ kis tarah jo likhā huā hai ye Thiik hai
Top Urdushayar.com