maiñ ne sirf apne nasheman ko sajāyā saal bhar
fasl-e-gul bhī is liye aa.ī hai ab ke Daal bhar
bad-gumānī aa.ī to le jā.egī rishte tamām
dekhnā niklegī in shīshoñ kī hastī baal bhar
vo zamāna Thiik thā īmān laane ke liye
haidar-e-karrār bhar ḳhair aur shar dajjāl bhar
aaj merī arz par zulfeñ agar kholegā vo
kal hasad kī aag meñ jal jā.egā bañgāl bhar
kar diyā chāk-e-garebāñ ne tujhe bhī mo'atabar
chal divāne tū bhī ab jeb-e-junūñ meñ maal bhar
sajda bhar īmān baaqī rah gayā hai shaiḳh kā
aur aqīdat-e-barahman kī rah ga.ī hai thaal bhar
nek-o-bad kī kashmakash meñ haiñ kirāman-kātibīn
chal 'shujā' ab ḳhud hī apnā nāma-e-a.amāl bhar