Waseem Barelvi

na jaane kyun mujhe us se hi KHauf lagta hai

Waseem Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1940
na jaane kyuuñ mujhe us se hī ḳhauf lagtā hai
mire liye jo zamāne ko chhoḌ aayā hai
añdherī shab ke havāloñ meñ us ko rakkhā hai
jo saare shahr kī nīndeñ uḌā ke soyā hai
rafāqatoñ ke safar meñ to be-yaqīnī thī
ye fāsla hai jo rishta banā.e rakhtā hai
vo ḳhvāb the jinheñ ham mil ke dekh sakte the
ye bār-e-zīst hai tanhā uThānā paḌtā hai
hameñ kitāboñ meñ kyā DhūñDne chale ho 'vasīm'
jo ham ko paḌh nahīñ paa.e unhīñ ne likkhā hai
Top Urdushayar.com