sab ne milā.e haath yahāñ tīrgī ke saath
kitnā baḌā mazāq huā raushnī ke saath
sharteñ lagā.ī jaatī nahīñ dostī ke saath
kiije mujhe qubūl mirī har kamī ke saath
terā ḳhayāl, terī talab terī aarzū
maiñ umr bhar chalā huuñ kisī raushnī ke saath
duniyā mire ḳhilāf khaḌī kaise ho ga.ī
merī to dushmanī bhī nahīñ thī kisī ke saath
kis kaam kī rahī ye dikhāve kī zindagī
vaade kiye kisī se guzārī kisī ke saath
duniyā ko bevafā.ī kā ilzām kaun de
apnī hī nibh sakī na bahut din kisī ke saath
qatre vo kuchh bhī paa.eñ ye mumkin nahīñ 'vasīm'
baḌhnā jo chāhte haiñ samundar-kashī ke saath