kahāñ qatre kī ġham-ḳhvārī kare hai
samundar hai adākārī kare hai
koī maane na maane us kī marzī
magar vo hukm to jaarī kare hai
nahīñ lamha bhī jis kī dastaras meñ
vahī sadiyoñ kī tayyārī kare hai
baḌe ādarsh haiñ bātoñ meñ lekin
vo saare kaam bāzārī kare hai
hamārī baat bhī aa.e to jāneñ
vo bāteñ to bahut saarī kare hai
yahī aḳhbār kī surḳhī banegā
zarā sā kaam chiñgārī kare hai
bulāvā aa.egā chal deñge ham bhī
safar kī kaun tayyārī kare hai