kahāñ savāb kahāñ kyā azaab hotā hai
mohabbatoñ meñ kab itnā hisāb hotā hai
bichhaḌ ke mujh se tum apnī kashish na kho denā
udaas rahne se chehrā ḳharāb hotā hai
use patā hī nahīñ hai ki pyaar kī baazī
jo haar jaa.e vahī kāmyāb hotā hai
jab us ke paas gañvāne ko kuchh nahīñ hotā
to koī aaj kā izzat-ma.āb hotā hai
jise maiñ likhtā huuñ aise ki ḳhud hī paḌh paañv
kitāb-e-zīst meñ aisā bhī baab hotā hai
bahut bharosa na kar lenā apnī āñkhoñ par
dikhā.ī detā hai jo kuchh vo ḳhvāb hotā hai