Waseem Barelvi

mohabbat na-samajh hoti hai samjhana zaruri hai

Waseem Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1940
mohabbat nā-samajh hotī hai samjhānā zarūrī hai
jo dil meñ hai use āñkhoñ se kahlānā zarūrī hai
usūloñ par jahāñ aañch aa.e Takrānā zarūrī hai
jo zinda ho to phir zinda nazar aanā zarūrī hai
na.ī umroñ kī ḳhud-muḳhtāriyoñ ko kaun samjhā.e
kahāñ se bach ke chalnā hai kahāñ jaanā zarūrī hai
thake-hāre parinde jab basere ke liye lauTeñ
salīqa-mañd shāḳhoñ kā lachak jaanā zarūrī hai
bahut bebāk āñkhoñ meñ ta.alluq Tik nahīñ paatā
mohabbat meñ kashish rakhne ko sharmānā zarūrī hai
salīqa hī nahīñ shāyad use mahsūs karne kā
jo kahtā hai ḳhudā hai to nazar aanā zarūrī hai
mire hoñToñ pe apnī pyaas rakh do aur phir socho
ki is ke ba.ad bhī duniyā meñ kuchh paanā zarūrī hai
Top Urdushayar.com